Thursday, June 26, 2008

my frnd

Khwabo me ane wale tera sukriya,
dil ko bahlane wale tera sukriya,
kaun karta hai kisi se dosti itni,
hame dost kahne wale tera sukriya

Dosti aur Mehandi me kuch fark nahi hota,
dono 1sa kaam kar jati hai,
Zindagi ko khusiyo se rang deti hai,
Aur Khud fanaa ho jaati hai

Friday, May 30, 2008

shayri from my frnds hfz

Mai Sahhil pe likhi hui ibaarat nahin,jo lehron se mit jayegi.
Mai baarish ki barasti hui boond nahin,jo baras kar tham jaati hai.
Mai khawaab nahin jise dekha aur bhula diyaMai shama nahin jise phoonka aur bhujha diya.
Mai hawa ka jhoka nahin jo aaya aur gujar gayaMai chand bhi nahin jo raat k baad dhal gaya.
Mai to wo ehsaas hun jo tujh me lahoo ban kar gardish kareMai to wo rang hun jo tere dil par chhaaey to kabhi na mite.
Mai to wo parwana hun jo jalta rahega magar fanaah nahin hongaMere mitne ka sawaal nahin q ki mai to mohobbat hunMehfil me hasna to mera mizaz ban gaya.tanhai me rona ek raaz ban gaya.
Dil ke dard ko chehre se zahir na hone diya,yahi zindagi jine ka andaz ban gaya.
Pal hi aisa tha ki hum inkaar na kar paye,Zamaane ke darr se ikraar na kar paye,na thi jinke bina munasib zindagi,chhod diya saath unhone….. Aur hum ek sawal bhi na kar paye

my home


HI it's me!!!